MAA MUJHKO BACHA LO
kaas urta main bhi,
panchion ke sang akash me
hor pankhon me lagata,
chitiz choone ki aas me!
sang hawa ke main bhi,
gana chahta hoon
bahate jharno se bhi,
batiyana chahta hoon!
suraj ke sum tez se
rosan ho jana chahta hoon ,
chaand ki seetalta ko,
bhi azmana chahta hoon,
mahakte phoolon ka madhu
main churana chahta hoon,
khol do ye haath mere
main jagmagana chahta hoon !
jeet kar ye jang
mujhko ur jana hai,
moti sagar ka churakar
chitiz ko bhi pana hai ,
nahi jana andhere me,
kaaton ki sez par
kaal ke badhte haathon se
maa mujhko bacha lo!
Category: Poetry |
Thursday, August 13, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment